Talaq Hone Ki Istikhara Dua Aur Tarika
Talaq Hone Ki Istikhara Dua
Talaq Hone Ki Istikhara Dua; Talaq aaj ke daur mein mard aur aurat dono ke liye behad eham baat hai. Aur baz waqt shohar aur biwi apne bacho ke liye ek unchaha rishta bhi nibhane mein lag jate hai. Kayi baar behad an-ban ke baad bhi miya-biwi ek dusre se alag nahi ho pate aur kaafi takleef se apni zindagi guzarte hai. Lekin Islam mein ek aisa tarika hai jisse aap bina pareshan huye ye jaan sakte hai ki aapko talaq lena chahiye ya nahi. Ji haan, jab aap talaq hone ki istikhara dua ko parhenge toh aapko pata chal jayega ki aapka talaq aapke liye munasib hai ya nahi.
Agar aapke shohar aap par behad zulm karte hai ya phir aapke upar apne waldein se paise lane ke liye zor zabardasti karte hai, aur aap kisi bhi haal mein unse talaq lena chahti hai toh itni jald bazi mein ye faisla na kare. Aap talaq ke liye istikhara ka tarika azmaye aur Insha Allah, aapko bahot jaldi pata chal jayega ki ye talaq aapke haq mein jayaz hai ya nahi. Aap talaq ke liye istikhara ka tarika humare molvi sb. se pata kare. Ye behad azeem tarika hai apne kismat mein kya behtar hai ye jaanne ka.
Talaq Ke Liye Istikhara
Jab aap talaq ka istikhara karenge toh aapko Allah Talah ki taraf se seedha ishara hasil hoga aur aapko pata chal jayega ki Allah Rabbul Alimeen aapke fayde ke liye aapse kya chahta hai. Agar aapko iska jawab ha mein mile toh aap bilkul talaq ke liye aage badhe, lekin agar aapko jawab na mein mile toh aap ruk jaye. Chahe aapka rishta aapke shohar se jitna bhi bura ho, aap apne rishte ko ek mauka zaroor de. Allah Talah ka ishara aapke liye behtar hi sabit hoga.
Lekin yaad rahe ki aap talaq ka istikhara nihayat saaf dil aur neik niyat se kare. Talaq ki istikhara dua shohar ya biwi dono mein se koi bhi parh sakta hai. Aap poore akeede ke sath isko parhe aur Insha Allah apko bahot jald natija hasil hoga.
Talaq ke liye Istikhara ka Tarika
Talaq ke liye istikhara ka tarika niche diya gaya hai:
- Paak saaf hokar ek saaf kamre mein istikhara kare.
- Raat ko sone se pehle do rakat nafil ada kare.
- Nafil ki pehli rakat mein Surah Kafiroon parhe aur dusri rakat mein Surah Ikhlas.
- Phir istikhara ki dua ada kare.
- Aur jab dua istikhara mein “hazal amra” aye toh us jagah apni hajat yani apni biwi ko talaq dene ya apne shohar ko talaq dene ke bare mein soche.
- Hazal amra istikhara dua mein do martaba ata hai, isliye aap apni hajat do martaba soche.
- Phir kiblah rukh kar ke so jaye.
- Insha Allah, jis bhi niyat se aap ne dua-e-istikhara parhi hai uska ishara aapko apne khwab mein dikh jayega.
- Agar aapko pehli raat koi khwab na dikhe toh aap istikhara phir se kare.
- Istikhara amal aap 7 din tak bila nagah kar sakte hai.
Agar aapko talaq ke liye istikhara ka tarika ko samajhe mein koi bhi pareshani ho toh aap humare molvi sb. se turant baat kare.
No comments:
Post a Comment